Kal ki kya baat kare, jab aaj ki nahi khabar…
Dhundne ne nikla tha dil jise, sirf wahi naa aaye nazar…
Kismet ko khojne aya tha , koi rasta naa koi dagar…
Manjil ke itne kareeb aakar, abhi toh tham jaye yeh bhawar…
Zindagi mein unhi palon ki aas hoti hain, jab har sham kuch
khas hoti hain…
Kuch kuch kehke sab kuch ki zaroorat thi..
Kya hain yeh pyas who abhi samajhni baki thi…
Aksar hoti thi dil mein dastak….
Par dil kaise sune, yeh toh kisika tha bandhak…
Shayad kisiki tamanna thi, aakhon mein yeh kiski tasveer si
thi…!!
//13th May 2009//
//13th May 2009//
Comments
Post a Comment